wo an-ginat khat jo kitni hi zindagiyon mein main ne tumhein likhe the aur tum ne har ek khat muskuraate hanste rote kai kai bar padha aur utha kar rakh diya ek bar aur padhne ko jaise ye khat hi tumhaara aur mera sab kuchh hon in khaton mein hum ne kai rang dhaale safed pakizgi sabz tazgi surkh tamazat aur nili gahrai tum aur main har rang mein dub kar tair kar ladkhadate aur sambhalte rahe kai hasin khwab bune kai tode phir ek din achanak tufan ke ek jhonke se pani ke wo tamam rang jin mein hum tum aur main utar kar dubte aur tairte the aag ke rang mein dhal gae jis mein mere wo sare khat jal kar rakh ho gae aur tumhaari aankhon mein tairte aansuon ke parde mein main ne ek dabi si muskan ki parchhain dekhi