kyun gunahgar banun wisa-faramosh rahun kab talak khauf-zada surat-e-khargosh rahun waqt ka ye bhi taqaza hai ki khamosh rahun ham-nawa! main koi mujrim hun ki ru-posh rahun shikwa america se khakam-ba-dahan hai mujh ko chunki is mulk ka sahra bhi chaman hai mujh ko gar tere shahr mein aae hain to mazur hain hum waqt ka bojh uthae hue mazdur hain hum ek hi job pe muddat se ba-dastur hain hum 'bush' se nazdik 'musharraf' se bahut dur hain hum usa shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le talib-e-aid se thoda sa gila bhi sun le tera parcham sar-e-aflak udaya kis ne tere qanun ko sine se lagaya kis ne har senator ko election mein jitaya kis ne fund-rasing ki mahafil ko sajaya kis ne 'hilary' se kabhi puchho kabhi chak-schumer se har senator ko nawaza hai yahan dollar se jackson-heights ki galiyon ko basaya hum ne coney-island ki zinat ko badhaya hum ne goriyon hi se nahin ishq ladaya hum ne kaliyon se bhi yahan aqd rachaya hum ne aa ke is mulk mein rishte hi faqat jode hain bam to kya hum ne patakhe bhi nahin chhode hain jab bura waqt pada hum ne sambhaali masjid kab talak rahti musalman se khali masjid jab hui ghar se bahut dur bilali masjid hum ne tah-khane mein chhoti si bana li masjid hum ne kya jurm kiya apni ibaadat ke liye sirf milad kiya jashn-e-wiladat ke liye hum ne rakkhi hai yahan amn-o-aman ki buniyaad apni fitrat mein nahin dahshat o danga o fasad har musalman pe usa mein padi hai uftad phir bhi hum ne tere shahron ko kiya hai aabaad tujh se iqrar-e-mohabbat ki saza pai hai hum ne is mulk mein jhatke ki chikan khai hai gir gaya tez hawaon se agar tayyara pakda jata hai musalman yahan be-chaara kabhi ghura kabhi tada to kabhi lalkara kabhi subway se uthaya kabhi chhapa mara tu ne ye kah ke jahazon ko karachi bheja ye bhi shaklan hai musalman ise bhi le ja hum musalman hain dahshat ke rawadar nahin kisi khitte ke bhi insan se bezar nahin qatl aur khun ki siyasat ke taraf-dar nahin dafe-e-jang faqat phul hain talwar nahin hum yahan amn ke hami hain tujhe fikr nahin mere quran mein dahshat ka kahin zikr nahin media tera dawat aur qalam tere hain jitne bhi mulk hain dollar ki qasam tere hain ye shahanshah ye arbab-e-haram tere hain kash tujh ko yaqin aa jae ki hum tere hain tu ne jab bhi kabhi manga hai tujhe tel diya tujh ko jab mauqa laga tu ne hamein bel diya haalat-e-jang mein hum log tere sath rahe taki duniya ki qayaadat mein teri baat rahe aur musalman hi mahrum-e-inayat rahe kuchh to diport hue nazr-e-hawalat rahe hum tere sab se bade halqa-e-ahbab mein hain phir bhi tufan se nikalte nahin girdab mein hain aid mein teri ajab marka-arai hai maut ke saz mein lipti hui shahnai hai aslaha de ke jo dushman ki pazirai hai hum wafadar nahin tu bhi to harjai hai rahmaten hain teri aghyar ke kashanon par chhapa padta hai to bechaare musalmanon par