internet-asthan pe baithi khwab ki malka! makhmal si poron se kitne roz bunogi? khwab ki rekha rang-rangile bair-bahuti jaise lafzon ki angnai jalti-bujhti taswiron ki khwab-sarai sabit anguron ke danon jaisi duniya ki ye hosh-ruhai tanhai ki gagar se phir lamha chhalka internet-asthan pe baithi khwab ki malka! dur kisi cafe mein baithe khwahish aur mohabbat ke ye ujle sign ye jalte honton ke khat ye hansna rona sab kuchh aadha sach hai aadhe sach mein dub marogi gorakh-dhanda bas ek pal ka internet-asthan pe baithi khwab ki malka! chating room mein sard dilon ke rash mein ghutti sansen insanon ke chehre pahne jazbe khaen ruh chabaen tanhai ke rup rangile raqs dikhaen harfon ke bujhte angare kitne din tak aur chunogi? pyas to mange rasta jal ka internet-asthan pe baithi khwab ki malka!