ai aligarh ai jawan-qismat dabistan-e-kuhan aql ke fanus se raushan hai teri anjuman hashr ke din tak phala-phula rahe tera chaman tere paimanon mein larzan hai sharab-e-ilm-o-fan ruh-e-'sir-sayyad' se raushan tera mai-khana rahe rahti duniya tak tera gardish mein paimana rahe ek din hum bhi teri aankhon ke bimaron mein the teri zulf-e-kham najam ke nau-giraftaron mein the teri jins-e-ilm-parwar ke kharidaron mein the jaan-o-dil se tere jalwon ke parastaron mein the mauj-e-kausar tha tera sail-e-ada apne liye aab-e-haiwan thi teri aab-o-hawa apne liye ilm ka pahla sabaq tu ne padhaya tha hamein kis tarah jite hain tu ne hi bataya tha hamein khwab se tifli ke tu ne hi jagaya tha hamein naz se parwan tu ne hi chadhaya tha hamein mausam-e-gul kei khabar teri zabani aai thi tere baghon mein hawa kha kar jawani aai thi lekin ai ilm-o-jasarat ke darakhshan aaftab kuchh ba-alfaz-e-digar bhi tujh se karna hai khitab go ye dhadka hai ki hunga murid-e-qahr-o-itab kah bhi dun jo kuchh hai dil mein ta-kuja ye pech-o-tab ban pade jo sai apne se wo karna chahiye mard ko kahne ke mauqa pe na darna chahiye ai aligarh ai halak-e-tabish-e-waza-e-farang 'thames' hai aaghosh mein tere bajae mauj-e-gang wadi-e-maghrib mein gum hai tere dil kei har umang walwalon mein tere shayad arsa-e-mashriq hai tang kab hai maghrib kaba-e-hajat-rawa tere liye aa ki hai bechain ruh-e-asia tere liye kushta-e-maghrib nigar-e-sharq ke abru bhi dekh saz-e-be-rangi ke juya soz-e-rang-o-bu bhi dekh nargis-e-arzaq ke shaida dida-e-ahu bhi dekh ai sunahri zulf ke qaidi siyah gesu bhi dekh kar chuka sair asl markaz par to aana chahiye apne ghar kei samt bhi aankhen uthana chahiye pukhta-kari sikh ye aain-e-khami ta-kuja jada-e-afrang par yun tez-gami ta-kuja soch tu ji mein ye jhuti nek-nami ta-kuja maghribi tahzib ka tauq-e-ghulami ta-kuja mard agar hai ghair kei taqlid karna chhod de chhod de lillah bil-aqsat marna chhod de