aur bisat-e-khayal be-payan aur muayyan hudud-e-sharh-o-bayyan tez-raftar gardish-e-haalat aur aahistagi-e-umr rawan ajnabiyyat ka mustaqil ek bojh aur shanasaiyon ka bar-e-giran aql ki khami narasi dil ki aur tasawwur-shikan haqiqat-e-jaan mukhtalif har wajud pesh-e-nazar aur imkan-e-wahdat-e-imkan fikr uqda-kushaiyon pe musir aur sar-rishte hi ka khud fuqdann intiha silsilon ki na-malum aur har lamha silsila-e-jumban mutawatir marahil-e-talim aur musalsal madarij-e-nisyan shoba-ha-e-khayal be-tamiz aur bahr-e-shanakht mohr-o-nishan chaar jaanib sarahton ka hujum aur bahr-e-rumuz be-payan sail-e-bairun rawan ba-tarz-e-digar aur ju-e-andarun alag si rawan ek khoi hui fazae-hayat aur ehsas-o-fikr sab ghaltan aur sanson ki rahguzar pe hujum aur aankhon ki rahguzar viran