ye kis ne chehron pe tan di hai na-ashnai ki phir se chadar ki us ki ujli zamin pe main ne brush se aankhon ke ek paikar bana diya tha wo ek paikar ki jis mein apne tamam khwabon ka khun bhara tha bahaar ban kar khilin thin us par meri tamanna ki sari kaliyan magar wahan ab basera karti hai na-ashnai wo sari kaliyan shanasa hun jin se umr-bhar ka khilin to khushbu wo na-ashnai ki mere ghar mein basa gai hain meri nigahon ke sare manzar ko dasht-e-viran bana gai hain