main hun sar-chashma-e-awwal se bahut dur pae-nur bhatakne wala raushni aks-ba-aks aati hai in aankhon tak aaine apni khayanat se nahin khud waqif in ko malum nahin zawiye in ke badal dete hain kirnon ka mizaj aaj is nur-e-moharraf se hai aankhon mein thakan dil mein khannas ki sargoshi-e-paiham ki chubhan kash sar-chashma-e-awwal se utar aae koi rast kiran jo meri ruh ki zulmat mein ujala kar de main ki hun kor mujhe dekhne wala kar de