na dekho

dukhega aur mera man na dekho
badhegi aur bhi uljhan na dekho

hansata hun sabhon ko bas ye dekho
mera bhiga hua daman na dekho

tum apne chaak-daman ki khabar lo
mera bosida pairahan na dekho

khud apne aap se dar jaoge tum
andhere mein kabhi darpan na dekho

na harf aae kahin mardangi par
buri nazron se husn-e-zan na dekho

agar hai husn be-parda to dekho
magar tum jaanib-e-chilman na dekho

sahi likkho to aankhen band kar lo
jo hoti hai koi qadghan na dekho

faqat tanqid hi karne ki khatir
nazar walon kisi ka fan na dekho

kisi bekas ki dukhtar byah lao
sharafat dekho us ka dhan na dekho

ye dekho ghar mein diwaren hain chhat hai
bada-chhota kabhi aangan na dekho

abhi sab zakhm taza aur hare hain
abhi tum 'khwah-makhwah' nakhan na dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close