ifsha-e-raaz yar sar-e-am kar gaya namus-e-dosti ko wo nilam kar gaya ruswaiyon ke sath wo logon ke qarz ki anmol jaedad mere nam kar gaya pahli hi raat aankh chura kar sanam mera aaghaz hi mein waqif-e-anjam kar gaya saqi ne mai-kade mein meri jeb kat li rindon mein mujh ko banda-e-be-dam kar gaya zahid ki aaj salgirah hai to dekhiye kaisa sharif aadmi kya kaam kar gaya maghrib se pahle de ke hamein dawat-e-nashat pine ka intizam sar-e-sham kar gaya tauba na todne ki meri sari koshishen saqi-e-tishna-kaam hi nakaam kar gaya ye waqia hai dost mera mere nam se mashhur khud hua mujhe be-nam kar gaya daulat ne us ke husn ke sau aib chhupae iflas mere fan ko bhi gumnam kar gaya chehre pe kam-sini mein thi jhadu phiri hui aaya shabab aur unhen gulfam kar gaya shohrat ka shauq had se badha jab bhi 'khwah-makhwah' mashhur shakhsiyat ko bhi gumnam kar gaya 'ghaalib' ke sher mere takhallus se jod kar ek shakhs 'khwah-makhwah' mujhe badnam kar gaya