na-gahan aur be-nihayat se agar pichhe hatogi to tujhe malum hoga na-gahan to main hun lekin kaun tha wo be-nihayat koi pichhla jis ne tujh ko mujh se pahle teri kachchi umr mein yun chir kar zakhmi kiya tha tu tadapti rah gai thi aur ye kadwa-kasila zahr sote jagte khwabon mein amrit jaan kar piti rahi hai kyun bhala? kyun nur naghme ya kisi harf-e-tasalli se tarah nars khala khali raha itne dinon tak? aur ab phir tu aaj agar ek na-gahani hadse mein na-gahan se aa mili hai apni pakki umr mein to yun samajh jaise ki kachchi aur pakki donon umron mein koi nisbat nahin hai puchh khud se ek chauthai sadi ke baad phir kyun justuju hai tujh ko us zalim darinda-sifat ki, jis ko ye kah kar chhod aai thi jhatak kar, ek wahshi jaanwar ho be-nihayat tum se nafrat hai mujhe na-gahan kya be-nihayat ki tarah wahshi nahin tha? han, magar wo jaanwar shayad nahin tha (jaanwar, tum jaanti ho, chirte hain, phadte hain!) is liye ab tajraba wo apni pakki umr mein dohra ke khud harf-e-tasalli ka sahaara chahti ho? khud se puchho, kya ye sachchai nahin hai?