ladkiyon se ziyaada khubsurat mausamon mein ye dariya kahan le jate hain kya pahadon mein chakoron ki bastiyon se udhar bhi parinde udte hain ya dhund ke dusre kinare andhere khali ho jate hain koi puchhe aisi musla-dhaar hawaon mein udte hue raste kahan le jate hain kya aansuon mein khwab dekhne ke dukhon se us par zamin bahut sabz ho jati hai aur aasman shahron ke chehre bhul jata hai sach puchho to aasman ka pyar samundar ke paniyon se ziyaada khubsurat hai aur teri chhatiyon ki khwahish jangali phalon se ziyaada wahshi kaun batae aisi raaton mein jab phul dhanak ban jate hain parinde alaw tap kar zamin chhod dete hain hum kitna mar jate hain