muKHlis

ek muddat ke baad
main apne ghar aaya hun

mere sahn ke paude mujh ko dekh rahe hain
sar ko uthae kanon ke manind uthae patton ko

qadmon ki aahat sunte hain
khush ho kar shayad hanste hain

log to hain anjaan
unhen malum hi kya hai

paude sab kuchh jaante hain
apnon ko pahchante hain

itne din pardes mein mujh ko
apnon ne kuchh khabar na bheji

aur ye paude har shab ko
mere khwab ke har kone ko

apni khushbu se mahkate rahte the
mujh ko dekh bulate the

ek muddat ke baad main apne ghar aaya hun
mere sahn ke paude

mujh ko dekh rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close