na-malum safar

ghar se nikla hai har ek shakhs kuchh ummid liye
dil mein arman bhi hain raste pur-khar bhi hain

kahin thokar kahin patthar kahin diwaren bhi
nahin malum hai manzil ka pata duniya mein

par safar zist ka har haal mein tai karna hai
koi is jidd-o-jahd mein hai ki daulat mil jae

koi kahta hai mujhe meri mohabbat mil jae
koi chahta hai use sari shujaat mil jae

koi kahta hai sawalat se rahat mil jae
yani har haal mein har shakhs ko kuchh chahiye hai

aur is daud mein sanson ka bharosa bhi nahin
aage ek mod hai us mod pe do raste hain

kaun se raste jaana hai kise chhodna hai
hadse kitne hon dauran-e-safar kya malum

is safar mein koi manzil bhi mile na-malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close