raushni ki talash

mohabbat raushni giton ki khushbu
tumhaari justuju mein pur-fishan hai

ye lamha ajnabi manzil ka rahi
misal-e-mauja-e-dariya rawan hai

lab-o-gesu ki bhi ek intiha hai
lab-o-gesu ki bhi ek intiha hai

gham-e-dil ki magar manzil kahan hai
na tanhai ye sannata ye aansu

tamannaon ki shamon ki qataren
dilon ke zakhm yaadon ke janaze

dahakte phul kajlai bahaaren
khala mein dolte hain dukh ke sae

koi apna nahin kis ko pukaren
dil-e-viran ka ek partaw hai jis ne

jahan mein sham-e-gham ka nam paya
kabhi jo dard ki shiddat se chikhe

to duniya ne use ek git samjha
unhin chikhon mein dhaala main ne tujh ko

unhin chikhon mein tujh ko main ne paya
thirakti raushni ki chand lahren

bahakti chandni mein ek saya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close