ye samundar kai bar uchhla hai har bar maujon ne dur un buland aur baala chattanon ke us par jaane ki khwahish mein justen lagai hain is tarah uchhli hain jaise udhar ki faza jo abhi tak rasai se bahar thi ab dam-e-nazara mein aa chuki hai magar in chattanon se us par ki wusaten ab bhi nadida hain aaj bhi wo jo diwar ki dusri samt mein hai mere lafz ki zad se bahar se shayad