asar hum par zara nahin hota koi gur kargar nahin hota sar pe dandon ki barishen bhi huin hum se puchho ki kya nahin hota murgh aksar banae jate hain aah phir bhi asar nahin hota hum ne laddu churae hain aksar jab koi dusra nahin hota likhne padhne se bair hai hum ko pyar is se kabhi nahin hota mar jab be-panah padti hai tab koi ham-nawa nahin hota dil pe gham ki ghataen chhai hain jab ki chhutti ka din nahin hota khelne kudne se ulfat hai kyon ki duniya mein kya nahin hota ghar pe abba school mein ustad kaun hai jo bura nahin hota