raat andheri ban hai suna koi nahin hai sath pawan jhakole ped hilaen thar-thar kanpen pat dil mein dar ka tir chubha hai sine par hai hath rah rah kar sochun yun kaise puri hogi raat barkha-rut hai aur jawani lahron ka tufan pitam hai nadan mera dil rasmon se anjaan koi nahin jo baat sujhae kaise hon saman bhagwan mujh ko rah dikha de mujh ko de de gyan chappu tute naw purani dur hai khewan-haar bairi hain naddi ki maujen aur pitam us par sun le sun ke dukh mein pukare ek paremi bechaara kaise jaun kaise pahunchun kaise jataun pyar kaise apne dil se mitaun birah agan ka rog kaise sujhaun prem paheli kaise karun sanjog baat ki ghadiyan bit na jaen dur hai us ka des dur des hai pitam ka aur main badle hun bhes