na-rasai

chaudhwin raat ke chand aur zamin ke mabain
na-rasai ka jo dukh hai wo hamara dukh hai

surmai hijr ki ta-hadd-e-nazar pahnai
an-ginat taron ke jhurmut mein chhupi tanhai

chand ke dukh ka mudawa nahin ye yaktai
rukh-e-mahtab ko chhune ki lagan mein be-tab

kahkashaon ki urusa ke machalte arman
sina-e-bahr pe biphri hui pagal maujen

raat bhar shiddat-e-jazbaat se yun uthti hain
jis tarah pichhle pahar lams ki hasrat jage

jaise rag rag mein sulagti hui tishna khwahish
jism ke sare masamon mein charaghan kar de

hae is karb ke aalam mein kahan mumkin hai
qabl-az-roz-e-jaza chaak-e-judai silna

aasman-zad ka is khak-pari se milna
quwwat-e-siql ki doron se bandhe ye ajram

daeron mein yun muqayyad hain ki kuchh bhi kar len
ek duje ki panahon mein nahin ja sakte

shayad un nur ke paron ki tarah hain hum bhi
kab se mohtat khamoshi ke madaron mein rawan

ek junun-khez mohabbat ka safar karte hain
hijr mein dil yun sulagte hain ki jaan jati hai

wada-e-qurb khuda jaane wafa ho ki na ho
wasl ka soch ke hi jaan pe ban aati hai

tut kar bikhre jo aaghaz-e-jahan mein reze
saat-e-hashr ke aane pe hi yakja honge

mehr-o-mah arz-o-sama ruh badan bhi yani
aakhirash ek ikai mein simat jaenge

na-rasai ke azabon mein yun guzri hai hayat
ji mein aata hai ki ab koi qayamat utre

tod kar apne madaron ko mulaqaten hon
mehrban shamen hon kuchh khushbu bhari raaten hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close