uphaar-e-raksha-bandhan

prem jagat ke rahne walo prem se rishta jodo
hirdai hai parbhu ka dera use kabhi na todo

ulti ganga bahti hai bahne do us ko chhodo
apne jiwan dhaara ko tum sidhe rukh par modo

karam karega jo achchha achchhai pe wo marega
aur bura koi jo karega waisa hi wo bharega

pun kya hai jo bhi kisi ne us ko to wo milega
bagh mein us ke jiwan ke wo ban kar phul khulega

hindu muslim sikh isai sab hain bhai bhai
bha nahin sakti kabhi kisi ko ik-duje ki judai

aaj hai raksha-bandhan ka din hai ye kitna suhana
bhai-bahan ke prem ka ye din sab ko sunae fasana

shila ne arshad ki le li ja ke hath mein kalai
phir ye boli raksha-bandhan aaj hi hai mere bhai

pyar bhara ye hath jo rakh do sar par aaj hamare
har dukh har gham dur ho jae khushiyan aae dware

pyar hi puja pyar ibaadat pyar se rishta jodo
har dukh har gham dur ho jae khushiyan aae dware

zainab bhi rahul ke hath mein bandh ke boli rakhi
dukh-sankat ke sagar ki nayya ka tu hai majhi

pawitra prem ka jag mein dekho kaisa ye uphaar hai
isi pyar aur prem se bhayya sukh-may ye sansar hai

kabhi kisi bhi bahan pe bhayya sankat aa nahin pae
phul na hargiz kabhi kisi ki khushiyon ke murjhae

sita gita shabnam shahin mein hai bhed na bhaw
chaaron ka hai ek charitra aur sab ka ek subhaw

bund lahu ki ek ragon mein tan bhi ek saman
prem path padhaya sab ne gita ho ya puran

ho har din raksha-bandhan ka sab prem ki jot jalaen
prem ki khushbu se mahke ghar aangan chaaron dishaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close