wo nadi jo ki yahan roz khilkhilati hai azm se jis ke yan shadab hain kinare bhi wo jo suraj ke nikalne pe bhi chamakti hai god mein apni jo mahtab ko jhulati hai jis ka mausam ke ishaaron pe utarna chadhna ye batata raha kab khush hai wo ghamgin hai kab phir samundar se mile ya wo bade dariya se apne uddgam se wo har haal judi rahti hai sazishen karte rahe mausam-e-garma aksar us ne badli hi nahin rah kabhi bhi apni par ye haalat ye tufan-e-hawadis jaise ban gae hain sabhi is aab-e-rawan ke dushman dekh kar ab ye manazir main yahi sochta hun kitni milti hai nadi tujh se kahani meri