jaan-e-man mujh se baja hai ye shikayat teri ki mere sher mein mazi ka wo andaz nahin jo meri nazm ko ilham bana deta tha aaj kyon mere takhayyul mein wo eajaz nahin jis ne bakhshi thi meri fikr-e-rasa ko mearaj aaj kyon meri tabiat mein wo parwaz nahin ab kahan ahd-e-jawani ke wo afkar-e-jamil aaj kyon apne tafakkur pe mujhe naz nahin dekh kar tu mujhe khamosh isi soch mein hai waqt-o-mahaul hai na-saz ki wo saz nahin ai mujhe 'hafiz'-o-'khayyam' banane wali mere sheron mein wo sar-masti-e-shiraaz nahin jo teri ruh ko naghmon ko jaga deti thi ab mere bas mein wo mausiqi-e-awaz nahin jo tujhe loriyan de de ke sulata tha kabhi ab mere pas wo aahang-e-fusun-saz nahin apni aashuftagi-e-fikr-o-nazar ka bais aaj main tere liye maya-e-eazaz nahin tu magar wahm ke bais ye samajh baithi hai tu bhi meri nigah-e-shauq mein mumtaz nahin ai meri nazm ko ilham batane wali ab takhayyul ka ye ilham fusun-saz nahin hai koi aur hi quwwat jo badalti hai hamein inqilab-e-falak-e-shoabada-pardaz nahin kash tu meri khamoshi ki sada sun sakti naghma-khwani ke liye hajat-e-awaz nahin main tujhe loriyan de de ke sulaun kyun-kar meri duniya mein kahin khwab-gah-e-naz nahin wo bahaaren wo umangen wo tamanna wo shabab ahd-e-hazir ki faza un ke liye saz nahin mo'tarif hun main ba-dastur mohabbat ka teri lekin ab apni mohabbat pe mujhe naz nahin dhundhta hun gham-e-hasti ka wo anjam 'rais' aql kahti hai ki jis ka koi aaghaz nahin