nuqush-e-hasrat mita ke uthna, khushi ka parcham uda ke uthna mila ke sar baithna mubarak tarana-e-fath ga ke uthna ye guftugu guftugu nahin hai bigadne banne ka marhala hai dhadak raha hai faza ka sina ki zindagi ka muamla hai khizan rahe ya bahaar aae tumhaare hathon mein faisla hai na chain be-tab bijliyon ko na mutmain karwan-e-shabnam kabhi shagufon ke garm tewar kabhi gulon ka mizaj barham shagufa o gul ke is tasadum mein gulsitan ban gaya jahannam saja len sab apni apni jannat ab aise khake bana ke uthna khazana-e-rang-o-nur tarik rahguzaron mein lut raha hai urus-e-gul ka ghurur-e-ismat siyahkaron mein lut raha hai tamam sarmaya-e-latafat zalil kharon mein lut raha hai ghuti ghuti hain numu ki sansen chhuti chhuti nabz-e-gulistan hai hain gursana phul, tishna ghunche, rukhon pe zardi labon pe jaan hai asir hain ham-safir jab se khizan chaman mein rawan-dawan hai is intishaar-e-chaman ki saugand bab-e-zindan hila ke uthna hayat-e-giti ki aaj badli hui nigahen hain inqilabi ufuq se kirnen utar rahi hain bikherti nur-e-kaamyabi nai sahar chahti hai khwabon ki bazm mein izn-e-baryabi ye tirgi ka hujum kab tak ye yas ka azhdaham kab tak nifaq o ghaflat ki aad le kar jiyega murda nizam kab tak rahenge hindi asir kab tak rahega bhaarat ghulam kab tak gale ka tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilmila ke uthna