ye shahr-e-sitam mar deta hai mujh ko sar-e-rah sham-o-sahar ke kinare nazar-o-pareshan main shorida-sar azhdaham-e-kasalat mein gum apne chaaron taraf ek nazar dalta hun to ye sochta hun ki ye gadiyan hain ya gadi-numa wahshaten rengti hain mujhe wahshaten das rahi hain thakan se badan mein daraden padin hain koi manzil-e-be-nishan tak nahin hai qadam mere bojhal mere dast-o-pa shal nazar aise pathra gai hai ki jaise zamin ruk gai ho samajh aise ghabra gai hai ki jaise khirad bakhta ho magar mere panje zamam-e-sitam-hae-jaan musalsal gade hain mayassar nahin hai jinhen istirahat ka pal faqat ek hi pal mere dast-o-pa shal ziyafat hai sadkon ki mere ye ghutan ki faza aur ye kala dhuan siskiyon ki paleton mein waqt abas hai ziyan ham-nafas hai qafas hai sadak hai sadak hai qafas hai qafas mein qataron ki lambi fasilen fasilon ke khauf-e-junun-khez mein ab masafat tawalat pakadne lagi yun sadak ban gai ek daldal mere dast-o-pa shal khamoshi mere dil ke kone mein sahmi dari shor ke tera ifrit se bhag kar aa gai thi magar gosh-e-muflis mein behudgi zahr ban kar badan ki mulaem ragon ko sukhane lagi hai bahut jald dil tak pahunch jae ki khamushi ko dabochegi kha jaegi ai mata-e-hunar mere dil se nikal ya meri aag mein jal mere dast-o-pa shal ba-zahir jo sidhe nazar aa rahe hain ye sab raste daeron ki tarah hain wajud-e-malamat mein phaile hue be-karan faslon ke nishan hain jahan khilqat-e-be-aman ke liye roz-o-shab marg-e-paiham saza-war hone lage hain