phir nae sal ki aamad hai naya jam chale phir barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai mere kamre mein calender jo nae sal ka aawezan hai nazar aata hai guzishta ki tarah wahi uljhe hue haalat wahi mahngai hai wahi tishna-labi aur wahi tanhai na mohabbat na murawwat na wafa ke aasar aadamiyyat ke taqaze na sadaqat ki phaban jis tarah aatish-e-imroz mein jalti taswir jaise kajlai hui dast-e-hinai ki lakir mere kamre mein calender jo nae sal ka aawezan hai nazar aata hai guzishta ki tarah ek manzar jo suhana hai wo phaile to sahi raj khushiyon ka ho chehron pe masarrat chamke ghar ke aangan mein mohabbat ka koi gul mahke aur shair ka qalam ek qasida likkhe jis ka har lafz ho aaghaz-e-masarrat ki nawed thik hai hum bhi nae sal ka naqsha dekhen bab-dar-bab koi khwab-e-tamanna dekhen mere kamre mein calender jo nae sal ka aawezan hai khud tamasha hai tamashai bhi