waqt apna bhi hai paraya bhi ye kadi dhup bhi hai saya bhi gah roton ko wo hansata hai gah hanston ko wo rulata hai chhin kar apnon ko wo jata hai kabhi bichhdon ko wo milata hai gham ke naghme kabhi sunata hai kabhi khushiyon ke git gata hai hai wo barkha bahaar ki surat aur kabhi hai khizan-zada murat raushni hai kabhi kabhi zulmat hai mohabbat bhi wo kabhi fursat hadse us ke sath rahte hain charkh tak us ke hath rahte hain raaz ye jaanna nahin aasan is ko pahchanna nahin aasan hai wo aasha bhi aur nirasha bhi sau tamashon ka ek tamasha bhi waqt par jo nigah karta hai waqt us se nibah karta hai