andeshon ke darwazon par koi nishan lagata hai aur raaton raat tamam gharon par wahi siyahi phir jati hai dukh ka shab khun roz adhura rah jata hai aur shanakht ka lamha bitta jata hai main aur mera shahr-e-mohabbat tariki ki chadar odhe raushni ki aahat par kan lagae kab se baithe hain ghodon ki tapon ko sunte rahte hain had-e-samaat se aage jaane wali aawazon ke resham se apni ru-e-siyah pe tare kadhte rahte hain angushta ne ek ek kar ke chhalni hone ko aae ab bari angusht-e-shahadat ki aane wali hai subh se pahle wo katne se bach jae to!