zamin-e-sang se suraj ugane wale hath kise khabar thi ki us shahr mein qalam honge jahan se parcham-e-dast-e-hunar buland hua zamin aqida-e-farda se lala-rang hui ufuq sitara-e-mehnat se arjmand hua aur ab ke bar qalam bhi unhin ke sath rahe jo apni fath ke nashshe mein chur nakhwat se durida-damani-e-ahl-e-dil pe hanste hain fughan-e-qafila-e-muzmahil pe hanste hain