un ki bargah mein jangal ke sher jarob-kashi karte hain maut ne un se wada kiya tha aag nahin jalaegi satwin nasl tak lekin main hun aathwin nasl mein main ne un ki safed khushbu ko mahsus kiya hai un ki dastar ka ek sira mashriq mein gum hai ek sira ek aur mashriq mein gum hai wo suraj ke aage aage qaba pahan kar chalte hain hum apni hadon mein simte hue unhen dekhte hain aur kahte hain nae shahron ki buniyaad wahi rakhte hain jo jangal ke sheron ko jarob-kashi par mamur kar den hum to apne ghodon ki gardan par bag bhi nahin chhod sakte