wadi-e-majnun mein aabru-e-khun mein ru-e-sarshaar-o-hasin manzar-e-shab ke qarin main tumhein tartib dun qurb ki targhib dun aks ki tarif mein rasm ki tahrif mein ek afsana kahun subh tak jalta raha hun tum khiram-e-naz se nutq-o-lab ke saz se marg-asa jaan-ba-lab jada-e-tarik jab zinda-o-raushan karo aur lahra kar chalo qatl kar dena use aks jo tum sa na tha harf jo mujh sa na tha jazb-e-shoala-e-khu na tha rang jo khushbu na tha