nafrat

mujhe nafrat se nafrat hai
ye wo ifrit hai

jo gulshan-e-lab pe sajata hai
rida-e-khar-e-dushnami

ye dast-e-be-zarar mein
khanjar-e-qatil ugata hai

ye un aankhon ko jo
masum-tar hain

ziya-e-qahr-e-na-zeba dikha kar
surkh karta hai

ye hanste khelte aabaad ghar ko
bilakti siskiyon se

aur ashkon se samata hai
gharaz ye kaj-ada ifrit

khush-haali ke rishton ki rukawat hai
mujhe nafrat se nafrat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close