rishwat

ye afsar hai
ise malum hai ye

ki is ke dastakhat se
clerkon maliyon ki

aur chaprasi ki tankhwahon ke bill
khazane se nikalte hain

har ek matahat hai jo
kaam us ka

kabhi to kuchh na kuchh padta hai is se
ye karindon ki majburi magar

is ke liye to
ek paigham-e-tijarat hai

har ek tankhwah ke bill ke ewaz aur
har ek arzi ke nate

ye apne dastakhat ko bechta hai
khud apne hirs ke unche mahal ko

kisi ke khun pasine
aur mehnat ki kamai se

hamesha sinchta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close