tera dhiyan liye main nagar nagar ghuma sharik-e-haal thi teri nazar ki pahnai ki aasman o samundar jaga diye jis ne faza mein abr ke paikar bana diye jis ne kabhi jo baith gaya main shajar ke sae mein to mere chehre ko chhune lagin teri sansen hazar baaten thin patton ke sarsarane mein hazar lams the jis waqt jhuk gain shakhen dam-e-ghurub gaya bazm mein hasinon ki bitaen saaten sohbat mein nazninon ki har aaine se jhalakta tera gudaz badan wo jhulte hue fanus tere aaweze wo mauj-e-rang tera shabnami sa pairahan tujhe pukaregi raaton ko meri tanhai ye bhuk ruh ki ye ishtiha-e-be-aram jo ek marg-e-musalsal hai ek soz-e-dawam