zikr nahin ye farzanon ka qissa hai ek diwanon ka masco, paris aur london mein dekhe main ne tin sharabi surkh thin aankhen ruh gulabi nashsha-e-mai ka taj jabin par fikr falak par panw zamin par be-khabar apni laghzish-e-pa se ba-khabar apne ahd-e-wafa se dukhtar-e-raz ke dar ke bhikari apne qalb o nazar ke shikari pi lene ke baad bhi pyase jam ki surat chhalke chhalke abr ki surat halke halke masti ki talwar uthae fasl-e-gul chehron pe khilae qadam qadam par bahak rahe the mahak rahe the chahak rahe the ek ne shayad whiskey pi thi dusre ne shampain ki botal tisare ne wo pighli chandi wodka ki sayyal hasina wo shai jis ki tabish-e-rukh se shishe ko aa jae pasina main ne un nazuk lamhon mein ruh-e-bashar ko uryan dekha ahd-e-khizan ka rang-e-paridan rang-e-ahd-e-bahaaran dekha zahir dekha pinhan dekha zikr nahin ye farzanon ka qissa hai ek diwanon ka raat ne apni kali zaban se khun shafaq ke dil ka chata chaar taraf khamoshi chhai phail gaya har-su sannata jannat-e-paris ke pahlu mein seine ki maujon ko nind aai dasne lagi mujh ko tanhai mai-khane mein ja kar main ne aag se dil ki pyas bujhai rind bahut the lekin wo sab apne nashe mein khoe hue the jag rahi thin aankhen lekin dil to sab ke soe hue the koi nahin tha un mein mera mein ye baitha soch raha tha kab ye zalim raat kategi kab wapas aaega sawera itne mein ek qamat-e-rana qadam qadam par phul khilata honton se masum tabassum aankhon se bijli barsata mai-khane mein jhum ke aaya naz o ada ke dam bichhata aish o tarab ki mahbubayen nashsha-e-mai ki doshizaen rah gain apni aankhen mal kar aai qayamat chaal mein dhal kar sikkon ki jhankar pe gati sone ki talwar nachati apne lahu mein aap nahati is nazuk lamhe mein main ne hirs-o-hawas ko raqsan dekha zad mein nizam-e-zardari ki ruh-e-bashar ko larzan dekha majburi ko uryan dekha zikr nahin ye farzanon ka qissa hai ek diwanon ka gahre kohre ki lahron mein sara london dub gaya tha lamhon ki raushan aankhon mein sham ka kajal phail chuka tha raat ki nili dewi jagi din ke dewta ko nind aai dasne lagi mujh ko tanhai mai-khane mein ja kar main ne aag se dil ki pyas bujhai us mahfil mein sab hi kuchh tha saqi bhi aur pir-e-mughan bhi sahba ki aaghosh ke pale tiflak-e-masti rind-e-jawan bhi ghaza o rang ki mashuqaen jin ki latafat shab bhar ki thi itr aur resham ki minaen jin ki sahba lab bhar ki thi aaj ka sukh tha, kal ka dukh tha aaj ki aasha, kal ki nirasha hans hans kar gham dekh rahe the in jhuti khushiyon ka tamasha na-ummidi ke kandhon par rakkha tha ummid ka lasha aaj wo le len, jo mil jae kal kya hoga kaun batae aaj dilon ki shama jalaen kal shayad ye raat na aae aaj to mai ki kashti khe len kal ye safina dub na jae aaj labon ka bosa le len maut ka bosa kal lena hai aaj dilon ka qarz chuka len kal to sab kuchh de dena hai is nazuk lamhe mein main ne ruh-e-bashar ko viran dekha atom-bomb ke khauf ke aage aql o khirad ko hairan dekha sare jahan ko larzan dekha zikr nahin ye farzanon ka qissa hai ek diwanon ka dosh-e-hawa par tariki ne zulfon ke kham khol diye the masco ki khamosh faza mein raat ki aankhon ke kajal ne kitne jadu ghol diye the surkh o siyah makhmal ke upar sham ke sayon ko nind aai dasne lagi mujh ko tanhai mai-khane mein ja kar main ne aag se dil ki pyas bujhai khush-fikron ka abr-e-bahaaran jhum pada tha mai-khanon par baada-kashon ka rangin jhurmut tut pada tha paimanon par saz ki lai mein tezi aai nashsha-e-mai ki angdai ne apna hasin parcham lahraya chappa chappa zarra zarra qatra qatra raqs mein aaya naghmon ke be-tab bhanwar ko lab ke tukde chum rahe the raqs ke bekal girdabon mein jism ke tufan ghum rahe the chehron ki raushan qindilen banhon ki dil-kash mehraben rag nazar ki khamoshi ke jumbish-e-mizhgan ki mizraben is gardish mein darham-barham sara nizam-e-shams-o-qamar tha pighal gae the chand aur suraj mahfil-e-gul mein raqs-e-sharar tha raat ki peshani se jaise taron ka jhumar tut gaya ho pir-e-falak ke hath se jaise tasht-e-zamarrud chhut gaya ho hire, nilam, lal aur moti khak pe jaise bikhar rahe hain jaise kisi ke barham gesu bikhar bikhar kar sanwar rahe hon nashsha-e-mai ke sar par lekin aql o khirad ka taj dhara tha dur se baitha baitha mujh ko ek sharabi dekh raha tha us ne hawa mein hath se apne nanha sa ek bosa phenka ek titli si udti aai mere dil ke phul ke upar kuchh kanpi aur kuchh mandlai baith gai par jod ke donon pyar ke ras ko chus ke utthi aur meri jaanib se hawa mein bosa ban kar phir lahrai kuchh sharmai, kuchh itrai aur sharabi mez se uth kar raqs ke halqon se takraata kashti ki surat chakraata hath mein apna jam uthae meri jaanib jhumta aaya khandan khandan, nazan nazan raqsan raqsan, pechan pechan mauj-e-hawa ko chumta aaya meri zaban thi urdu, hindi us ki zaban thi rusi lekin ek zaban thi aisi bhi jo donon zabanon se pyari thi donon jis ko bol rahe the chand ishaare chand tabassum nazron ka khamosh takallum harf yahi the, lafz yahi the shahad jo dil mein ghol rahe the hind ki masti, rus ka naqsha donon ne ek jam banaya aur hawa mein us ko nachaya sath hamare sab rindon ne apne dilon ko hath mein le kar mere watan ka jam uthaya ab jo main ne mud kar dekha jashn na tha ye diwanon ka gird hamare amn ki dewi git ki huren saz ki pariyan naghme aur aawaz ki ladiyan paris ki bad-bakht hasina maghrur america ka sipahi london ka badmast sharabi aish o tarab ki mahbubaen nashsha-e-mai ki doshizaen ghaza o rang ki mashuqaen itr aur resham ki minaen 'hafiz' aur 'ghaalib' ki ghazlen 'pushkin' aur 'tagore' ki nazmen kitne naz aur kitni adaen kitni shirin aur lailaen kitne ranjhe, kitni hiren kitne but, kitni taswiren amn ki koshish aur tadbiren mashriq o maghrib ki taqdiren halqa bandhe nach rahi thin main ne is nazuk lamhe mein ruh-e-bashar ko nazan dekha nashsha o raqs ke pech o kham mein pyar ka jazba raqsan dekha sare jahan ko khandan dekha zikr nahin ye farzanon ka qissa hai ek diwanon ka