hai mizaj us waqt kuchh bigda hua sayyaad ka ai asiran-e-qafas mauqa nahin fariyaad ka kitna dard-amez tha naghma dil-e-nashad ka tir tarkash mein tadap uttha sitam ijad ka dastan-e-alam-e-furqat kisi se kya kahen ho gaya barbaad har zarra dil-e-nashad ka aap ko milna nahin manzur lo marta hun main muntazir baitha hua tha aap ke irshad ka ai dil-e-nashad mujh ko teri wahshat dekh kar yaad aa jata hai qissa qais aur farhad ka aae wo bahr-ayaadat dal kar rukh par naqab rah gaya arman dil mein aashiq-e-nashad ka aap farmate hain tu ne raat ko nale kiye banda-parwar 'auj' tu aadi nahin fariyaad ka