safir-e-laila ye kya hua hai shabon ke chehre bigad gae hain dilon ke dhage ukhad gae hain shafiq aansu nahin bache hain ghamon ke lahje badal gae hain tumhi batao ki is khandar mein jahan pe makdi ki sanaten hon jahan samundar hon tirgi ke siyah-jalon ke baadban hon jahan payambar khamosh lete hon baaten karti hon murda ruhen safir-e-laila tumhi batao jahan akela ho dastan-go wo dastan-go jise kahani ke sab zamanon pe dastaras ho shab-e-rifaqat mein tul-e-qissa charagh jalne talak sunae jise zaban-e-hunar ka sauda ho zindagi ko sawal samjhe wahi akela ho aur khamoshi hazar sadiyon ki sans roke wo chup lagi ho ki maut baam-e-falak pe baithi zamin ke sae se kanpti ho safir-e-laila tumhi batao wo aise dozakh se kaise nipte dayar-e-laila se aae name ki nau ibarat ko kaise padh le purane lafzon ke istiaron mein gum mohabbat ko kyunke samjhe safir-e-laila abhi malamat ka waqt aaega dekh lena agar musir ho to aao dekho yahan pe baitho ye name rakh do yahin pe rakh do inhi silon par ki is jagah par hamari qurbat ke din mile the wo din yahin par juda hue the inhi silon par aur ab zara tum nazar uthao mujhe batao tumhaara naqa kahan gaya hai buland takhnon se zard reti pe chalne wala sabih naqa wo surkh naqa sawar ho kar tum aae jis par buri sara mein wahi ki jis ki mahaar bandhi thi tum ne bosida ustukhwan se wo asp-e-tazi ke ustukhwan the mujhe batao safir-e-laila kidhar gaya wo udhar to dekho wo haddiyon ka hujum dekho wahi tumhaara aziz sathi safar ka monis pa ab nahin hai aur ab uthao silon se name padho ibarat jo padh sako to kya dar gae ho ki sath-e-kaghaz pe juz siyahi ke kuchh nahin hai khajil ho is par ki kyun ibarat ghubar ho kar nazar se bhagi safir-e-laila ye sab karishme isi khandar ne meri jabin par likhe hue hain yahi ajaib hain jin ke sadqe yahan parinde na dekh paoge aur sadiyon talak na utregi yan sawari na chob-e-khema gadegi yan par safir-e-laila ye mere din hain safir-e-laila ye meri raaten aur ab batao ki is aziyyat mein kis mohabbat ke khwab dekhun main kin khudaon se nur mangun magar ye sab kuchh purane qisse parai basti ke murda qaziye tumhein fasanon se kya lagao tumhein to matlab hai apne naqa se aur name ki us ibarat se sath-e-kaghaz se jo udi hai safir-e-laila tumhaara naqa main us ke marne par gham-zada hun tumhaare ranj o alam se waqif bade khasaron ko dekhta hun so aao us ki talafi kar dun ye mere shane hain baith jao tumhein kharabe ki kargah se nikal aaun dayar-e-laila ko jaane wali habib rahon pe chhod aaun