naghma-e-jaan

phir koi naghma-e-jaan chhed ki shab baqi hai
an-suna git koi raqs-gah-e-anjum mein

uljhe uljhe hue baalon se ulajhta hua git
mahki mahki hui sanson mein sulagta hua git

phir sajaya hai hatheli pe tere nam ka dip
aur hawaon se ulajhte hain sanbhal jate hain

silsile khwab ke bad-mast hawa ke sathi
dil mein ek jot jalate hain bujha jate hain

mere takiye pe saji hai koi be-kal khwahish
sochti hun ki use nind ki wadi le jaun

apni sahmi hui bahon ka bana kar ghera
sang apne hi rakhun dur na hone paun

an-suna git koi raqs-gah-e-anjum mein
phir koi naghma-e-jaan chhed ki shab baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close