wo samundar ke par rahta hai aur dil be-qarar rahta hai us ki baaten jo yaad aati hain din dhale tak hamein satati hain raat-bhar ek khumar rahta hai wo samundar ke par rahta pai shahar matam-kunan hai tere baghair dasht bhi be-aman hai tere baghair har shajar sogwar rahta hai wo samundar ke par rahta hai dosti ban gai saza jaise aur ho aap ki ata jaise har karam ka shumar rahta hai wo samundar ke par rahta hai rasta ek tawil hasrat thi tere aane ki dil mein chahat thi manzilon ka ghubar rahta hai wo samundar ke par rahta hai