nahin mera aanchal mela hai aur teri dastar ke sare pech abhi tak tikhe hain kisi hawa ne in ko ab tak chhune ki jurat nahin ki hai teri ujli peshani par gae dinon ki koi ghadi pachhtawa ban ke nahin phuti aur mere mathe ki siyahi tujh se aankh mila kar baat nahin kar sakti achchhe ladke mujhe na aise dekh apne sare jugnu sare phul sambhaal ke rakh le phate hue aanchal se phul gir jate hain aur jugnu pahla mauqa pate hi ud jate hain chahe odhni se bahar ki dhup kitni hi kadi ho!