tum ne jo phul mujhe rukhsat hote waqt diya tha wo nazm main ne tumhaari yaadon ke sath lifafe mein band kar ke rakh di thi aaj dinon baad bahut akele main use khol kar dekha hai phul ki nau pankhudiyan hain nazm ke nau misre yaaden bhi kaisi ajib hoti hain pahli pankhudi yaad dilati hai us lamhe ki jab main ne pahli bar tumhein bhari mahfil mein apni taraf musalsal takte hue dekh liya tha dusri pankhudi jab hum pahli bar ek dusre ko kuchh kahe baghair bas yunhi jaan bujh kar nazar bachate hue ek rahdari se guzar gae the