dil-e-majbur tu mujh ko kisi aisi jagah le chal jahan mahbub mahbuba se aazadana milta ho kisi ka narm-o-nazuk hath apne hath mein le kar nikal sakta ho be-khatke koi sair-e-gulistan ko nigahon ke jahan pahre na hon dil ke dhadakne par jahan chhini na jati ho khushi ahl-e-mohabbat ki jahan arman bhare dil khun ke aansu na rote hon jahan rondi na jati ho khushi ahl-e-mohabbat ki jahan jazbaat ahl-e-dil ke thukrae na jate hon jahan baghi na kahta ho koi khuddar insan ko jahan barsae jate hon na kude zehn-e-insan par khayalon ko jahan zanjir pahnai na jati ho kahan tak ai dil-e-nadan qayam aise gulistan mein jahan bahta ho khun-e-garm-e-insan shah-rahon par darindon ki jahan chandi ho zalim dandanate hon jhapat padte hon shahin jis jagah kamzor chidiyon par dil-e-majbur tu mujh ko kisi aisi jagah le chal jahan mahbub mahbuba se aazadana milta ho