prit nagar se pheri wala meri gali mein aaya chudi, laung, anguthi, chhalle rang birange laya main ne puchha aur bhi kuchh hai, bola mitha sapna jis ko le kar jiwan bhar ek nam ki mala japna main ne kaha kya mol hai is ka, bola ek muskan tan mein aag lagao is se rakkho man ki aan sasta sauda dekh ke aakhir mein pagli muskai jiwan bhar ka rog samet ke main kaisi ithlai rahega lal gulab sa sapna kab tak mere sang kab tak is mein bas rahegi, kab tak us mein rang is ke tar bikhar jaenge kab mera dil mane dil pe rahega kab tak jadu pheri wala jaane