tulu-e-subh-e-farda ki munadi bhi zara sun lo ye atom jab phatega to qayamat chaar-su hogi tabahi ku-baku hogi kabhi gulshan ke in nau-khez ghunchon ki taraf dekho ye laghar kalmue nange nigode naunihaalon ki taraf dekho zara socho ye gandi bastiyan hadd-e-guman se bhi kahin aage na badh jaen ye aisa karwan hai jo bahut badhta hi jata hai zara socho tumhaari khetiyan sona ugalti hain zamanon se mah-o-anjum uga sakte ho is dharti se tum lekin magar ab bhuk ugti hai abhi tum khwab ke parcham udate ho khuda ki rahmaton ke git gate ho nawazish jaan kar khushiyan manate ho kabhi tum an-ginat bhuki nigahon ki taraf dekho zara socho hazaron hath khali hain hazaron hote jate hain ye kaisi bhid hai jo karwan-dar-karwan kam hi nahin hoti nae jismon ke pairahan musalsal katte jate hain zara socho zamin ki wusaten har daur mein ghatti hi jati hain nagine khun ke gadhe pasine ki kamai kahan tak munqasim honge qataren badhti jati hain zara socho makan se la-makan tak qahr-e-mustaqbil numayan hai hujum-e-be-karan ko dekh kar aalam pareshan hai tulua-e-subh-e-farda ki munadi bhi zara san lo ye atom jab phatega to qayamat chaar-su hogi tabahi ku-baku hogi zara socho