mujhe aisa mahsus hone laga hai kitaben qalam mez kursi ye album ye guddan ka ma'sum photo udhar shelf ki gard se jhankti 'mir'-o-'ghaalib' ki ruhen dhanak-rang mazi meri zindagani ka ek ek lamha koi mujh se chhine liye ja raha hai jahan zindagi sho'la-e-be-karan hai har ek lamha ek lamha-e-jawedan hai qalam jaise budha sipahi tamasha-e-ahl-e-hunar dekhta ho