ye maujuda tariqe rahi-e-mulk-e-adam honge nai tahzib hogi aur nae saman baham honge nae unwan se zinat dikhaenge hasin apni na aisa pech zulfon mein na gesu mein ye kham honge na khatunon mein rah jaegi parde ki ye pabandi na ghunghat is tarah se hajib-e-ru-e-sanam honge badal jaega andaz-e-tabae daur-e-gardun se nai surat ki khushiyan aur nae asbab-e-gham honge na paida hogi khat-e-naskh se shan-e-adab-agin na nastaliq harf is taur se zeb-e-raqam honge khabar deti hai tahrik-e-hawa tabdil-e-mausam ki khilenge aur hi gul zamzame bulbul ke kam honge aqaed par qayamat aaegi tarmim-e-millat se naya kaba banega maghribi putle sanam honge bahut honge mughanni naghma-e-taqlid europe ke magar bejod honge is liye be-tal-o-sam honge hamari istelahon se zaban na-ashna hogi lughat-e-maghribi bazar ki bhasha se zam honge badal jaega meyar-e-sharafat chashm-e-duniya mein ziyaada the jo apne zoam mein wo sab se kam honge guzishta azmaton ke tazkire bhi rah na jaenge kitabon hi mein dafn afsana-e-jah-o-hasham honge kisi ko is taghayyur ka na his hoga na gham hoga hue jis saz se paida usi ke zer-o-bam honge tumhein is inqilab-e-dahr ka kya gham hai ai 'akbar' bahut nazdik hain wo din ki tum hoge na hum honge