ek mis simin badan se kar liya london mein aqd is khata par sun raha hun tana-ha-e-dil-kharash koi kahta hai ki bas us ne bigadi nasl-e-qaum koi kahta hai ki ye hai bad-khisal-o-bad-maash dil mein kuchh insaf karta hi nahin koi buzurg ho ke ab majbur khud is raaz ko karta hun fash hoti thi takid london jao angrezi padho qaum-e-english se milo sikho wahi waza-e-tarash jagmagate hotalon ka ja ke nazzara karo soup o karri ke maze lo chhod kar yakhni o aash lidaron se mil ke dekho un ke andaz-o-tariq hall mein nacho clab mein jake khelo un se tash baada-e-tahzib-e-europe ke chadhao khum ke khum asia ke shisha-e-taqwa ko kar do pash pash jab amal is par kiya pariyon ka saya ho gaya jis se tha dil ki hararat ko sarasar inteash samne thin leadiyan zehara-wash o jadu-nazar yan jawani ki umang aur un ko aashiq ki talash us ki chitwan sehar-agin us ki baaten dil-ruba chaal us ki fitna-khez us ki nigahen barq-pash wo farogh-e-atish-e-rukh jis ke aage aaftab is tarah jaise ki pesh-e-shama parwane ki lash jab ye surat thi to mumkin tha ki ek barq-e-bala dast-e-simin ko badhati aur main kahta dur-bash? donon jaanib tha ragon mein josh-e-khun-e-fitna-za dil hi tha aakhir nahin thi barf ki ye koi qash bar bar aata hai 'akbar' mere dil mein ye khayal hazrat-e-sayyad se jakar arz karta koi kash 'darmiyan-e-qar-e-dariya takhta-bandam-karda-i baz-mi-goi ki daman-tar makun-hushyar-bash