nai ummid

kabhi apni sakht giraft par
nigah kar ke dekho

fanus ki tarah chamakti
oqiyanus ki tarah lahren marti

zindagiyan le kar
khali chaarpaiyan

aur khali hujum lauta deti ho
tumhaare liye juftiyan kar ke

mehnat se chaara tayyar karte hain
aur koi shikayat nahin karte

hamare mazbut hath
tumhaari mitti khodte kanp jate hain

tumhaari mahak
kanpati se phisalne wale

pasine ki wajh se hai
hum khodna chhod den to

andar hi andar gal sad jao
tumhein apna bij saunpte hue

roz raushan hone wale aasman ki manind
ummid mahsus karte hain

aur ummid mahsus karte hain ki
agar khodna chhod den to

ek bar khud ko galta sadta dekh len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close