log rubber-band ki tarah hathon pe chadhae ja sakte hain pahne ja sakte hain pairon mein kaghaz chhoti chhoti goliyon mein tabdil kiye ja sakte hain jinhen jab chaho diwar pe de maro un ko kude-dan mein phenka ja sakta hai jale aur wahshat utari ja sakti hai kamron ki itni bhayanak aur nokili hain un ki aawazen jo surakh kar deti hain diwar ke kanon mein log apni lambi zabanon ka burada bhar dete hain un surakhon mein jo tah-khanon mein ja nikalte hain tah-khanon ke zinon par kali satren hain chiyuntiyon ki aur makdi ki aali naslen jo thuk se shamiyane bunti hain makdi ke jale kali satren aur log ek hi ghar mein rahte hain lekin anjaan rahte hain ek dusre ke namon se is liye bahaal nahin ho pate un ke sifarati talluqat rakhi rah jati hain konon khudron mein zehni ham-ahangi ki sari filen aur log rubber-band ki tarah un par chadh jate hain