band aankhen kiye sar-e-sahil kal sahar-dam ye sochta tha main nind ki god mein zamana hai, bediyan tod dun, nikal jaun wadi-e-hu mein ja ke kho jaun dafatan ek mauj ne badh kar apna sar mere panw par rakkha aur kaha dekh chashm-e-dil se dekh nil-gun bahr kitna dilkash hai hai zamin kis qadar hasin-o-jamil aasman kitna khub-surat hai lekin ai shahkar-e-dast-e-azal jis taraf ka tera irada hai kya pata wo dayar kaisa hai ye faza ye hawa ye husn tujhe kya khabar hai, wahan mile na mile? aur yun band ho gain mujh par har taraf se farar ki rahen!