teri fitrat mein hai 'gobind' ka aasar magar 'ibn-e-mariyam' ka muqallid tera kirdar magar ram aur kirshn ke jiwan se tujhe pyar magar baada-e-hubb-e-mohammad se bhi sarshaar magar sikh na isai na hindu na musalman hai tu tera iman ye kahta hai ki insan hai tu hinduon se tujhe lena hai zehanat ka kamal aur sikkhon se shujaat ki na ho jis ki misal ahl-e-islam se lena hai ibaadat ka jalal aur issaiyon se sabr lagan aur istiqlal in anasir ko mohabbat se milana hoga kishwar-e-hind ka insan banana hoga man ke mandir ko munawwar kare nur-e-islam kaba-e-dil mein rahe sham-o-sahar ram ka nam kabhi ganga kabhi kausar se milen jam pe jam yun banen shir-o-shakar teri hukumat mein awam ram ho aur rahim aur na hone pae ab koi bachcha yatim aur na hone pae tujh se ummid ye hai ki mulk mein iflas na ho tang-dasti na aae kahin yas na ho alam-o-ranj ka dukh-dard ka ehsas na ho aur tassub ki kisi qaum mein bu-bas na ho unsur-e-amn shikan ko tah-o-baala kar de to jo aaya hai to duniya mein ujala kar de