main ne har chand gham-e-ishq ko khona chaha gham-e-ulfat gham-e-duniya mein samona chaha wahi afsane meri samt rawan hain ab tak wahi shoale mere sine mein nihan hain ab tak wahi ba-sud khalish hai mere sine mein hanuz wahi bekar tamannaen jawan hain ab tak wahi gesu meri raaton pe hain bikhre bikhre wahi aanhken meri jaanib nigran hain ab tak kasrat-e-gham bhi mere gham ka mudawa na hui mere bechain khayalon ko sukun mil na saka dil ne duniya ke har ek dard ko apna to liya muzmahil ruh ko andaz-e-junun mil na saka meri takhayyul ka shiraaza-e-barham hai wahi mere bujhte hue ehsas ka aalam hai wahi wahi be-jaan irade wahi be-rang sawal wahi be-ruh kashakash wahi bechain khayal aah is kashmakash subh o masa ka anjam main bhi nakaam meri sai amal bhi nakaam